Reinhören

Aktiviere das kostenlose Probeabo und kündige jederzeit und ohne Verpflichtung.
Nach dem Probemonat bekommst du eine vielfältige Auswahl an Hörbüchern, Kinderhörspielen und Original Podcasts für 9,95 € pro Monat.
Wähle monatlich einen Titel aus dem Gesamtkatalog und behalte ihn.

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 17

Von: Delhi Press
Gesprochen von: Kumud Soney, June Banerjee
0,00 € - Kostenlos hören

9,95 € pro Monat nach 30 Tagen. Jederzeit kündbar.

  • Inhaltsangabe

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
  • पतिया सास- आखिर क्यों पति कपिल से परेशान थी उसकी पत्नी?
    Aug 18 2022
    Kavita apne pati Kapil ko bohot prem karti thi aur uska khayal rakhti thi. Uske ghar mein saas-sasur nahin the. Kapil jab teen saal ka tha toh uske mata-pita ki mrityu ho gayi thi. Vah apne mama-mami ke saath reh kar bada hua tha. Vah har cheez saaf aur theek se rakhta tha. Ghar ki koi bhi cheez idhar se udhar ho jaaye toh vah tokne lagta tha. Kavita ko aksar lagta tha ki vah uska pati nahin balki saas hi hai.
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    9 Min.
  • सर्वस्व- क्या मां के जीवन में खुशियां ला पाई शिखा ?
    Aug 18 2022
    Shikha shaadi ke baad rasam ke liye apne mayike aayi jo uske nana ka ghar tha. Uske pita ke dehant ke baad uske parivaar ne insurance ka paisa hadap kar uski ma ko apne ghar mein naukrani bana diya tha aur tab Shikha aur nana uski ma ko apne ghar le aaye the. Wahan Shikha ke mama rehte the aur Shikha ki parvarish wahan huyi. Nana ki mrityu ke baad unn dono ka jeevan mushkil ho gaya tha. Kya vah apni zindagi apni sharton par jee sakenge?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    18 Min.
  • सौतन
    Aug 18 2022
    Sanjeev ek daftar mein clerk ki naukri karta tha aur ek maamuli parivaar se tha. Uski patni Bharti bhi sadharan parivaar se thi. Unki beti Chandni 10 saal ki thi aur use padhaane ke liye unhone angrezi medium school mein dakhila dilwaaya. Usi colony mein Mr. Bansal puraane makaan khareed kar nayi society banaane ka kaam karte the. Unki nazar Sanjeev ke ghar par thi. Kya Sanjeev aur Bharti unse sauda kar lenge ya phir apne ghar ko bachaane ki koshish karenge?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    40 Min.

Das sagen andere Hörer zu Family Drama Stories by Delhi Press, Season 17

Nur Nutzer, die den Titel gehört haben, können Rezensionen abgeben.

Rezensionen - mit Klick auf einen der beiden Reiter können Sie die Quelle der Rezensionen bestimmen.