• वे 3 दिन
    Aug 4 2022
    Navya ke mata-pita kuchh dinon ke liye Shimla gaye the aur use uski bua ke saath chhod gaye the. Iss baach Navya ke periods ho gaye aur usne jab apni bua ko yeh baat bataayi toh vah ghabra gayi. Usne Navya se kaha ki vah kitchen mein nahin jaa sakti aur khaane ki kisi cheez ko na chhuye. Use ek doosre kamre mein hi rehne ke liye keh diya. Navya pareshaan ho gayi, aakhir uski bua uske saath aisa vyavahar kyun kar rahi thi?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    16 Min.
  • वे सूखे पत्ते : सरोज की कहानी
    Aug 4 2022
    Saroj dikhne mein kaafi sundar thi. Lekin use bachpan mein ek chot lag gayi thi jiski wajah se vah lachak ke chalti thi. Uski chaal dekh kar sabko ajeeb lagta tha aur koi usse dosti nahin karna chaahta tha. Vah apni class mein pratham aayi aur ek ladka doosre number par aaya. Uss ladke ke saath uski dosti ho gayi. Lekin ladka nahin samajh paa raha tha ki Saroj ke aur koi dost kyun nahin the?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    15 Min.
  • शन्नो की हिम्मत : बाप और बेटी की अनोखी कहानी
    Aug 4 2022
    Shanno 10 saal ki thi aur uska pita uski ma ko bohot maarta tha. Shanno ko yeh baat bohot buri lagti thi aur usse apni ma ki yeh haalat nahin dekhi jaati thi. Ek din jab uske pita ne phir uski ma ko maarna shuru kiya toh vah police thane chali gayi aur wahan apne pita ke khilaaf report likhwaayi. Ek chhoti bachchi ka saahas dekh kar sab hairaan the. Kya vah apne parivaar mein badlaav laa sakegi?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    12 Min.
  • सीलन : कैसी थी रिया की जिंदगी
    Aug 4 2022
    Riya bachpan se hi hamesha nakaab pehne rehti thi aur koi uska chehra nahin dekh paata tha. Ek ladka uska dost bana aur jab vah bade ho gaye toh usne Riya ke parivaar ke baare mein poochha. Riya ne bataaya ki vah ek badnaam parivaar se thi. Uske pita ka koi pata nahin tha, lekin uski bohot saari ma thi. Ladka samajh gaya ki uska ateet kya hai, lekin kya unki dosti par asar hoga ya phir ladka uski takleef samajh jayega?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    13 Min.
  • सप्ताह का एक दिन : क्या थी शोभा की समस्या
    Aug 4 2022
    Richa apni padhai ke liye videsh gayi aur wahan uski mulaqat Saurabh se huyi. Dono ek doosre ko pasand karte the aur shaadi karna chaahte the. Richa ne apne mata-pita ko wahan bulaaya jisse vah bhi Saurabh se mil kar use samajh sakein. Lekin uske pita Ajay ko ek hafte mein hi lagne laga ki Richa ke paas toh unke liye samay hi nahin tha. Videsh mein vah akela mehsoos karne lage. Kya vah ek parivaar ban kar reh sakenge?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    14 Min.
  • पुनर्जन्म
    Aug 4 2022
    Shikha ghar ki sabse badi beti thi. Jab uske pita ko heart attack aaya aur vah apaahij ban gaye toh usne unse vaada kiya ki vah ghar sambhaalegi. Usne apne premi se bhi rishta tod diya jisse vah apni naukri aur ghar par dhyan de sake. Vah IAS afsar banna chaahti thi jisse vah achchi zindagi jee sake aur apne parivaar ke liye bhi saari sukh-suvidha de sake. Kya Shikha ka sapna sach hoga? Use kitne balidaan dene padenge?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    23 Min.
  • बोझ : अपनों का बोझ भी क्या बोझ होता है
    Aug 4 2022
    Abha apne pati ke saath sukhi the. Vah zyada nahin kamaata tha lekin Abha apni grihasti mein khush thi. Uski ma ka maanna tha ki paise hone chaahiye chaahe vah imaandaari se kamaaye ho ya kisi galat kaam ke zariye kamaaye ho. Abha ko yeh theek nahin lagta tha. Jab Abha ke rishtedaaron ki achanak mrityu ho gayi toh usne unke teen bachchon ko apne saath rakh liya. Lekin unki parvarish ke paise kaise aayenge? Kya vah apni soch badal degi?
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    11 Min.
  • मेघनाद : कुछ ऐसा ही था उस का व्यक्तितव
    Aug 4 2022
    Meghnad ka naam sunte hi college mein log hans padte the. Vah lamba aur rang mein kaala tha, isliye sab uska mazaak udaate the. Use ek gori aur sundar ladki se prem ho gaya tha. Lekin vah uski taraf koi dhyan nahin deti thi. Kya zindagi mein hamesha sab uska mazaak hi banaate rahenge? Vah apne rang-roop ke aage apni nayi pehchaan kaise bana sakta hai? Shweta naam ki ladki jab uski zindagi mein aayi toh sab badal gaya.
    Mehr anzeigen Weniger anzeigen
    9 Min.